Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


As salamu allaiqum

bohat se log ha jo adat wegara ko nahi maanta ya in ka hisab kitab per berosa nahi karte ya adat k ilm ko ajeeb shak ki nazar se deakta ha adat ka bare main quran pak main zikar ha

5 هُوَ الَّذِي جَعَلَ الشَّمْسَ ضِيَاءً وَالْقَمَرَ نُورًا وَقَدَّرَهُ مَنَازِلَ لِتَعْلَمُوا عَدَدَ السِّنِينَ وَالْحِسَابَ ۚ مَا خَلَقَ اللَّهُ ذَ‌ٰلِكَ إِلَّا بِالْحَقِّ ۚ يُفَصِّلُ الْآيَاتِ لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ
وہی ہے جس نے سورج کو روشن بنایا اور چاند کو منور فرمایا اور چاند کی منزلیں مقرر کیں تاکہ تم برسوں کا شمار اور حساب معلوم کر سکو یہ سب کچھ الله نے تدبیر سے پیدا کیا ہے وہ اپنی آیتیں سمجھداروں کے لیے کھول کھول کر بیان فرماتا ہے
( سورة يونس , Yunus, Chapter
#10, Verse #5)
 
وَجَعَلْنَا اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ آيَتَيْنِ ۖ فَمَحَوْنَا آيَةَ اللَّيْلِ وَجَعَلْنَا آيَةَ النَّهَارِ مُبْصِرَةً لِّتَبْتَغُوا فَضْلًا مِّن رَّبِّكُمْ وَلِتَعْلَمُوا عَدَدَ السِّنِينَ وَالْحِسَابَ ۚ وَكُلَّ شَيْءٍ فَصَّلْنَاهُ تَفْصِيلًا
 
اور ہم نے رات اور دن کے دو نمونے بنا دیے پھر رات کے نمونے کو دھندلا کر دیا اور دن کا نمونہ نظر آنے کے لیے روشن کر دیا تاکہ تم اپنے رب کا فضل تلاش کرو اور تاکہ تم برسوں کی گنتی اور حساب معلوم کر لو اور ہم نے ہر چیز کی تفصیل کر دی
 
( سورة الإسراء , Al-Isra, Chapter
#17, Verse #12)
 
 
112 قَالَ كَمْ لَبِثْتُمْ فِي الْأَرْضِ عَدَدَ سِنِينَ 113 قَالُوا لَبِثْنَا يَوْمًا أَوْ بَعْضَ يَوْمٍ فَاسْأَلِ الْعَادِّينَ
 
112 فرمائے گا تم زمین پر گنتی کے کتنےبرس رہے 113 کہیں گے ایک دن یا اس سے بھی کم رہے ہیں پس آپ گنتی کرنے والوں سے پوچھ لیں
 ( سورة المؤمنون , Al-Mumenoon, Chapter
#23, Verse #112=113) 



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com





 

As salamu allaiqum


Shamas-: شمس itwar say mansoub hai misbat addad is ka 1 aur manfi addad 4 hai

Qamar-:قمر peer say mansuob hai misbat addad is ka 2 hai aur manfi addad 7 hai

Mirieekh-:مر یخ mangal say mansuob hai misbat addad is ka 9 hai aur manfi addad 5 hai

Aatarat-: عطارد buuod say mansuob hai misbat addad is ka 5 hai aur manfi addad 9 hai

Mishtari-:مشتری jumirat say mansuob hai misbat addad is ka 3 hai aur manfi addad 6 hai

Zeehra-: زہرہ jumma say mansuob hai misbat addad is ka 6 hai aur manfi addad 3 hai

zohal-:زحل haffta say mansuob hai misbat addad is ka 8 hai aur manfi addad 1 hai




Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com






AS salamu allaiqum

hurf qeemat

ا alif 01
ب be 02
پ pe 02
ت te 400
ٹ ṭe 400
ث se 500
ج jīm 03
چ ce 03
ح baṛī he 08
خ khe 600
د dāl 04
ڈ dāl 04
ذ zāl 700
ر re 200
ڑ ṛe 200
ز ze 07
ژ zhe 07
س sīn 60
ش shīn 300
ص su'ād 90
ض zu'ād 800
ط to'e 09
ظ zo'e 900
ع ‘ain 70
غ ghain 1000
ف fe 80
ق qāf 100
ک kāf 20
گ gāf 20
ل lām 30
م mīm 40
ن nūn 50
و vā'o 06
ہ, ﮩ, ﮨ choṭī he 05
ھ do cashmī he koi nai
ء hamzah koi nai
ی choṭī ye 10
ے baṛī ye koi nai


naam kay aadad niklnay ka tarika
ager kisay bhi shaks kay naam kay aadad maloom karnay ho tu keya karna chaheya app ko misal kay tor app aik shaks jis ka naam khalil ahmed hai us kay naam kay aadad maloom karnay hain tu kuch yon karay phelay app us kay naam kay hurfoo ko alag alag kar lay jisay

hurf qeemat

خ khe 600
ل lām 30
ی choṭī ye 10
ل lām 30
ا alif 01
ح baṛī he 08
م mīm 40
د dāl 04

uper deya howay hurf ki qeemat ko jama kar lay jisay 600+30+10+30+01+08+40+04=723
in sub hurf ki qeemat hai 723 ab 723 addad ko bhi alag alag kar lay aur jama kar lay jisay 7+2+3=12 ab hurf ki qeemat 12 hogi hai ab app 12 addad ko bhi alag alag kar kay jama kar lay jisay 1+2=3 ab hurf ki qeemat 3 hai aur khalil ahmed naam ka addad 3 hai in addadton ki khasiyat aur in addadton ka zindagi pay asar main app ko anshallah agay batao ga




Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com





As salamu allaiqum

is aadad kay hamil log apnay zaroori kam kisi bhi mahinay ki 19,28 ko sar anjam day tu inshallah kamiyab rahay gay yeh tarikh un logon kay leya mubarak hai mubarak din un kay leya itwar hai wo bhi us waqt jab itwar ka din 10,19,28 ki tarikh ko ah jay
in logon kay manhoos mahinay janvary decumber aur october hain sohnari aur badami aur zard rang ka zada say zada istamal karay

pather
pather main pukhraaj pather aur heera zada faida day ga

Aadad 1 ki shaksiyat per asar
is main main app ko thora bohat bata raha hoon aur yeh chand khasiyat hain ahgay bhi is tarhan app ko sud aadadton ki chand khasiyat batao ga inshallah

01-:aadad 1 suraj ki alamat hai jo log saal kay kisi bhi mahinay ki 10,19 ,28 tarikh ko paida hotay hain un ka aadad 1 hota hai
02-:yeh log hosala-mand hotay hain
03-:in ki fitrat main walwala hota hai
04-:yeh log her kam aur karobar main tarakqi patay hain
05-:yeh log muhabaat ki barpur zindagi guzartay hain
06-:yeh log jis ko chahay gay us pay sub kuch nechawar kar day gay aur khob pisa bhi kharch kartay hain
07-:wo khelo ka dildar hoga aur kisi khel main apna naam roshan karay ga
08-:is aadad ki hamil aurat shan-o-shukat pasand karti hain
09-:is aadad ki hamil aurat apni shakal-o-surat chal dhal aur apni pur-kashesh shaksiyat kay baaz aam aurton main apnay app ko numaya dekhaiy dayti hain


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname

amel_soname@yahoo.com






As salamu allaiqum

aadad 2 say taluk rakhnay walay afraad ko chaheya kay wo apnay ahham kam 2 11 20 29 tarikh ko sar anjam day yeh in kay leya mubarak din hain peer in ka khush nasib din hai ager wo in tarikh ko paray 2 11 20 ko janvary febaruy july in kay leya manhoos hain sabaaz aur saifad rang ka istamal karay aur gharay rango say bachay

pather
pather main zaard maeell sabaaz pather yeh hera ka istamal zada faida day ga


Aadad 2 ki shaksiyat per asar
is main main app ko thora bohat bata raha hoon aur yeh chand khasiyat hain ahgay bhi is tarhan app ko sud aadadton ki chand khasiyat batao ga inshallah

01-:is aadad kay log mahzi ki yadon main magan rehtay hain
02-:is aadad kay log achay mazban sabit hotay hain
03-:yeh log sabar walay eur her qadam phonak phonak kay rakhtay hain
04-:yeh log ajnabi logon per barosa nai kartay hain
05-:yeh baray hassaas aur nazuk mizaaj hotay hain
06-:is aadad kay logon ka mizaaj aur shaksiyat ko samjnay kay leya bohat time chaheya hota hai
07-:yeh log dolat jama kartay hain kharchay say zada bachaat per zor daytay hain
08-:yeh log roman pasand kay dildar hotay hain
09-:is aadad ki aurat apni muskurahat husaan-e-saluk say logon ka dil jeet layti hain
10-:is aadad ki aurat apnay fashion per bohat dihan dayti hain aur har fashion Aone chati hain
11-:is aadad ki aurat ki pansandida jaga bawarchi khana hoga aur yeh bohat achay khanay pakana bhi janti hain



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com






As salamu allaiqum

in afrad ko apnay kam mahenay ki 3,12,21 sar anjam dayna bhetar hoga jumirat ka din mubarak hai ager wo jumiraat 3,12,21,30 ko paray


pather

pather main in ko kitalal pehana chaheya
Aadad 3 ki shaksiyat per asar
is main main app ko thora bohat bata raha hoon aur yeh chand khasiyat hain ahgay bhi is tarhan app ko sud aadadton ki chand khasiyat batao ga inshallah

1-:aadad 3 ka taluk sitara mishtari say hai yeh aadad 3 aadad say khas nisbat rakhta hai misal kay tur per 3,6,9 is ki waja say 3,6,9, kay afrad aik dosaray ko achi tarhan samaj aptay hain aur achay dost bhi hotay hain
2-:is aadad kay log saaf go aur khush mizaaj hotay hain
3-:is aadad kay log zada tar apni zaatti azadi per dosaro ki madakhlat pasand nai kartay hain
4-:is adad kay logon main zada tar khush umeedi khush mizaji diyanat dari aur joshela pan hota hai
5-:is aadad kay log aksar apni saaf gohe say apnay doston ko naraz bhi kar daytay hain
6-:is aadad kay logbat bak aur saf go hotay hain
7-:is aadad kay log apnay maksaad kay baray main hamisha pur umeed hotay hain
8-:is aadad ki khawatin jazbati nai hoti aur baray dhemay andaz ki malik hoti hain
9-:is aadad kay log khush qismat hotay hain



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com





As salamu allaiqum
in afrad ko chaheya kay apnay aham kam 22;13;4 tarikh ko karay haftay ka din in kay leya mubarak hai ager haftay ka din in 31,13,22,4 ko paray
pather
in kay leya halkay aur gharay rang ka firoza bhetar hai
Aadad 4 ki shaksiyat per asar
is main main app ko thora bohat bata raha hoon aur yeh chand khasiyat hain ahgay bhi is tarhan app ko sud aadadton ki chand khasiyat batao ga inshallah
1-:aadad 4 ka sitara yoranmas hai
2-:yeh log munfarid sahasiyat kay malik hotay hain
3-:yeh log asul pasand nai hotay
4-:yeh log dulat kay dewanay nai hotay ager dulat mil jay tu itni fazool karchi kartay hain kay log dhektay rah jay
5-:is aadad kay log apni azadi main kisi kisam ki madakhlat bardasht nai kartay
6-:wo hamisha har kam main apni marzi chalatay hain
7-:yeh log baray romantic hotay hain
8-:is aadad kay log achay jivan sahti sabit hotay hain
9-:yeh log khuch gawar mahool karnay ki barpur koshesh kartay hain
10-:in ko insani bhalai kay kamo main thora bohat lagao hota hai


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com





As salamu allaiqum
in ki mubarak tarikh 14;5;23 hain mubarak din budh aur juma hai
pather
mubarak pather hera hai is kay alawa chandi bhi istimal kar sakti hain sirf khawatin kay leya
Aadad 5 ki shaksiyat per asar
is main main app ko thora bohat bata raha hoon aur yeh chand khasiyat hain ahgay bhi is tarhan app ko sud aadadton ki chand khasiyat batao ga inshallah
1-:is aadad ka taluk atarat say hai
2-:yeh log bari pur kashesh sahksiyat kay malik hotay hai aur baray milan sar hotay hain yeh log faisla karnay main dair nai kartay aur dosaro ko apna dost banay ka tarika achi tarhan jantay hain
3-:yeh log dulat kay dewanay hotay hain sath main mansuba saaz bhi hotay hain
4-:yeh log zahanat ki buniyad per dost banatay hain aur bamaksad talukat amada hotay hain
5-:yeh log sanjida hotay hain aur sath main zaheen bhi
6-:is aadad kay hamil log muhobaat karnay aur isay panay main barawaqt lay tay hain
7-:isay log jazbati hotay hain
8-:is aadad kay log fazool kharch nai hotay
9-:yeh log doston kay dost hotay hain


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com





As salamu allaiqum

mubarak tarikh 6;15;24 din jumma
pather
mubarak pather firoza aur zamarood

Aadad 6 ki shaksiyat per asar
is main main app ko thora bohat bata raha hoon aur yeh chand khasiyat hain ahgay bhi is tarhan app ko sud aadadton ki chand khasiyat batao ga inshallah
1-:yeh log maknatisi shaksiyat kay malik hotay hain
2-:yeh log jo baat kar lay usay pora karnay ki koshesh bhi pori kartay hain
3-:yeh log gannay bajana aur usay sunnay ka bohat shoq rakhtay hain
4-:is aadad ki aurat khubsurat aur qud awar hoti hain aur husla man hoti hain
5-:asi aurat bari jazbati hoti hain jisay chati hain usay toot kar chahati hai
6-:aisi aur bari meharban hoti hai aur apni aulad say bari mohabbat karti hain khas kar kay apni beti per apni jan day gi
7-:is ko khush rakhnay kay leya us kay husoon ki tarif ki jay bus
8-:aisi bivi apnay shohar kay raaz ko raaz hi rakti hai


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com





Popular Posts

Copyrighted.com Registered & Protected 
CFMO-FBDX-LTTE-LRD7

Amel Soname Blogs List




Powered by Blogger.

Featured Posts